'Kucch Awara Sher'- by Vikram Grewal 'Haraf'
Here is a compilation of words that went astray in my diary.
But 'all those who wander are not lost..'
'Bawaal'
Woh bina miley poochte hain kya haal accha hai,
Hum bina kahe kehte hain sawaal accha hai.
Yun toh keh dein ki sab hai khairiyat
Magar ae Haraf! Chup rehne mein bawaal achha hai.
'Bawandar'
Main rehta hoon us talaab mein
Jahaan kabhi samandar hota tha
Jahaan taare gote khaate the
Aur sooraj andar sota tha.
Jahaan kabhi kshitij hi kinara tha
Woh khud ab kinara hai
Jo mook pada hai khud abhi
Wahaan kabhi bawandar hota hai.
'A Teetotaler's Alibi'
Ab agar piyein bhi toh jaam bhara ho paani se...
Ye ehsaas-e-maut ke zikr ki koshish mein
Kaheen swaad-e-zindagi na bhool jayein.
'Snitch'
Mera astitva meri kalam se hai
Ye paagalpan picchle janam se hai
Abhi waqt nahi mujhe khojne ka
Meri shuruwaat khatam se hai.
'Malaal Redux'
Malaal toh mujhe bhi nahin
Ab jo khud ko tabaah kiya,
Par ae Haraf! Tu Haraf hai wahi
Aur woh tha Jaun Eliya.
Comments
Rayta ho gya h dimag apna🤡
Ishq par Ek sawaal ha!!
JO MILA WO HUMKO NA GAWAARA HAI
MAANA KI SHER AAWARA HAI,
PAR SUKOON KO INKA HI SAHAARA HAI..
.
#KHOOBSURAT_WRITINGS