'Naqaab' - by Vikram Grewal
Sirf mooh aur aadhi naak hi toh dhake tune Nazariya toh ussi dimaag mein tikta hai Bheetar banda wahi bhayanak bas farq itna Ki ab naqaab tera dikhta hai. Tujhe ghar par sayyam rakhna tha Par bechain mann tez aanch par sikta hai Tujhe yakeen hai tere amar hone ka magar Ab naqaab tera dikhta hai. Tune bimaari ka bhi vyaapar kiya Tera naqaab bhi mehenga bikta hai Rangeela, matching, branded pehna Kyunki ab naqaab tera dikhta hai. Farq ye hai ki yeh naqaab farq nahi karta Par tera tu-tu main-main bhed-bhaav kahaan rukta hai Soch par dali chaadar ab chehre par aa gayi hai Isliye ab naqaab tera dikhta hai. Parantu iss do gaj ki doori mein ungli utthana Iss haath ki kya haisiyat jo likhta hai Aina toh dekh le ek baar tu bhi ae Haraf Ab naqaab tera dikhta hai.