'Naqaab' - by Vikram Grewal
Sirf mooh aur aadhi naak hi toh dhake tune
Nazariya toh ussi dimaag mein tikta hai
Bheetar banda wahi bhayanak bas farq itna
Ki ab naqaab tera dikhta hai.
Tujhe ghar par sayyam rakhna tha
Par bechain mann tez aanch par sikta hai
Tujhe yakeen hai tere amar hone ka magar
Ab naqaab tera dikhta hai.
Tune bimaari ka bhi vyaapar kiya
Tera naqaab bhi mehenga bikta hai
Rangeela, matching, branded pehna
Kyunki ab naqaab tera dikhta hai.
Farq ye hai ki yeh naqaab farq nahi karta
Par tera tu-tu main-main bhed-bhaav kahaan rukta hai
Soch par dali chaadar ab chehre par aa gayi hai
Isliye ab naqaab tera dikhta hai.
Parantu iss do gaj ki doori mein ungli utthana
Iss haath ki kya haisiyat jo likhta hai
Aina toh dekh le ek baar tu bhi ae Haraf
Ab naqaab tera dikhta hai.
Comments
Pr Kuch samajh nhi aaya janab.